Yeh Khushbu k bikhar janAy ka Mosam
Yahi mosam hay mar janay ka Mosam
Gino lamhay khuli aankhon se shab k.
Yeh hay sote mein darr janay ka Mosam
Kayi Uljhi ruton k Baad aaya.
Teri Zulfen sanwar janay ka mosam
Safar tha, kon janay kis nagar men
Wo bhool aaya nikher janay ka mosam
Zameen ki payas ko kab raas aaya
Charhay Darya utar janay ka mosam
Wohi hum hen whi maktal ki dhaj hay
Wohi jaan say guzar jany ka Mosam
Wohi us k safar ka taiz lamha...
Wohi dil k thehar janay ka Mosam
Woh Basti, Chand say Chehray wo aankhein
yeh Mosam hay Udhar janay ka Mosam
Qayamat hay dil-e-Saada pay Mohsin.
Kisi ko chhor kar janay ka Mosam.....
Yahi mosam hay mar janay ka Mosam
Gino lamhay khuli aankhon se shab k.
Yeh hay sote mein darr janay ka Mosam
Kayi Uljhi ruton k Baad aaya.
Teri Zulfen sanwar janay ka mosam
Safar tha, kon janay kis nagar men
Wo bhool aaya nikher janay ka mosam
Zameen ki payas ko kab raas aaya
Charhay Darya utar janay ka mosam
Wohi hum hen whi maktal ki dhaj hay
Wohi jaan say guzar jany ka Mosam
Wohi us k safar ka taiz lamha...
Wohi dil k thehar janay ka Mosam
Woh Basti, Chand say Chehray wo aankhein
yeh Mosam hay Udhar janay ka Mosam
Qayamat hay dil-e-Saada pay Mohsin.
Kisi ko chhor kar janay ka Mosam.....
No comments:
Post a Comment