mehfilain lut gaeen jazbaat nay dum torr diya
saaz khamosh hain naghmaat nay dum torr diya
her musarrat gham e deroz ka unwaan bani
waqt ki goad men lamhaat nay dum torr diya
un gint mehfilain mehroom e chiraghan hain abhi
kon kehta hai keh zulmaat nay dum torr diya
aaj phir bujh gaey jal jal kay umeedon kay chiragh
aaj phir taaron bhari raat nay dum torr diya
jin say afsana e hasti men tasalsul tha kabhi
un muhabbat ki rawayaat nay dum torr diya
jhilmilatay huay ashkon ki larri toot gaee
jagmagati hui barsaat nay dum torr diya
haaey adaab e muhabbat kay taqazay saghar
lab hilay aur shakayaat nay dum torr diya
No comments:
Post a Comment