Raat k gehray san’natay mein jugnoo dhoondanay nikli thi,
Tanhai say dard k saaray rishtay torrnay nikli thi.
Barish k rastay mein apni aankhein kessay bhool gai,
Wo khushboo to saath hawa k badal dekhnay nikli thi.
Taiz hawaon mein thehri to apna ghar tak bhool gai,
Aanay waalay toofanon ka rasta roknay nikli thi.
Khawabon k sehra mein bhatki, apni umar ganwa bethi,
Wo larki, jo raakh k dhair mein moti dhoondanay nikli thi.
Jiss ki har aahat say dil ka mosam bheegnay lagta tha,
Uss ki baatein, uss ka lehja kiss mein dhoondanay nikli thi?
No comments:
Post a Comment