Pages

Friday, 9 December 2011

mausom-e-girya





to chal, ay mausom-e-girya, phir ab ki baar bhi ham hi
teri ungli pakartay hain, tujhay ghar lay kay chaltay hain
wahan har cheez waisi hay koi manzar naheen badla
tera kamrah bhi wesay hi parra hay, jis terha tu nay
usay dekha tha, chhora tha
teray bistar kay pehloo main rakhi us maiz par ab bhi
dhara hay mag who coffee ka
keh jis kay khusk aur tootay kinaaron par
abhi tak was-wason ki jhaag kay dhabbay numaayaan hain
qalam hay, jis ki nib par rat-jagon ki roshnaai youn laraztee hay
keh jaisay sookhtay huay honton pay pippree jamnay lagtee hay
wo kaghaz hain
jo bay-roay huay kuch aansuon say bhiigay rehtay hain
teray chappal bhi rakhay hain
keh jin kay bay-samar talwon say who sab khawab liptay hain
jo itna ronday janay par bhi ab tak saans letay hain
teray kapray,
jo gham ki barishon main dhul kay aa-ey thay
meri almaariyon kay hangaron main ab bhi latkay hain
dilason ka wo geela tauleeya
aur hichkiyon ka adh-ghula saabun
chamaktay wash basin main paray hain aur
thanday garam pani ki wo donon tootiyaan ab tak
rawaan hain tu jinhain us din
kisi jaldi main chalta chhor aaya tha
dareechay ki taraf dewaar par latki ghari
ab bhi, hamesha ki tarha,
aadha minute peechay hi rehti hay
calendar par ruki taareekh nay palkain naheen jhapkeen
aur us kay saath aawaizaan
wo ek manzar,
wo ek tasweer jis main wo
meray shaanaay pay sar rakhay meray pehlu main baithee hay
meri gar-dan aur us kay gaisuu'on kay paas ek titlee
khushi say urrti phirti hay
kuch aisa sehar chhaya hay
keh dil rukta, hawa chalti hui mehsoos hoti hay

magar ay-mausom-e-girya,

ussi sa-aat
najanay kis taraf say tu chala aaya
hamaray beech say guzra
hamaray beech say tu es tarha guzra
keh jaisay do mukhalif raaston ko kaat-ti sarhad
keh jis kay har taraf bas dooriyon ki gard urrti hay

usi ek gard ki teh si
tujhay darwazay ki bell par jami shayad nazar aa-ey
koi tasweer kay andar kami shayad nazar aa-ey
tamanna say bhari aankhain jo har dam muskurati theen
ab un aankhoun main nami shayad nazar aa-ey

No comments:

Post a Comment