Andaaz hu-bahu teri aawaz-e-paa ka tha
Dekha nikal k ghar sey to jhonka hawa ka tha
Utha ajab tazaad sey insan ka khameer
Aadi fana ka tha to pujaari baqa ka tha
Is rishta-e-latif k israar kaya khulen?
Tu saamney tha or tasawwur Khuda ka tha
Toota to kitney aaina-khanon pey zad parri
Atka hua galey men jo pathar sada ka tha
Chup chup k ro'oun or sar-e-anjuman hansun
Mujh ko yeh mashwra merey dard-aashna ka tha
Dil raakh ho chuka to chamak or barh gayi
Yeh teri yaad thi keh amal kemiya ka tha
Is husun-e-ittefaq pey lut kar bhi shaad huun
Teri raza jo thi woh taqaza wafa ka tha
Hairaan hun keh daar sey kesey bacha Nadeem?
Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor inteha ka tha
Ahmad Nadeem Qasmi
No comments:
Post a Comment