chaman men jab bhi saba ko gulaab poochtey hain
Tumhari aankh ka ehwaal,khawab poochtey hain
Kahan kahan huay roshan humarey baad chiraagh
Sitaray deeda e tar sey hisaab poochtey hain
Woh tishna lab bhi ajab hain jo moj e sehra sey
suraagh e habs mizaaj e saraab poochtey hain
Kahan basi hain woh yaadain,ujaarna hay jinhain?
Dilon ki baanjh zameen sey azaab poochtey hain
Baras parreen teri aankhain to yeh bhaid khula
Sawaal khud sey bhi apna jawaab poochtey hain
Hawa ki hamsafri se ab aur kaya hasil
Bus apney shehar ko khana kharab poochtey hain
Jo be nay'aaz hain khud apney husn sey Mohsin
Kahan woh mujh sey mera intikhab poochtey hain
Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment