Kesa maftooh sa manzar hai kai sadiyon say,
Merey qadmon pey mera sar hai kai sadiyon say,
Khof rehta hai keh sailaab na lay jaaye kahee'n,
Merey palko'n pey tera ghar hai kai sadiyon say,
Us k paani men bhi pehlay sa woh thehrao nahi,
Yeh jo be'chain samander hai kai sadiyon say,
Ashk aankhon men sulgtay huwey so jaatay hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai kai sadiyon say,
Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh k ander hai kai sadiyon say,
Yeh mujhey saans bhi khul k nahi lenay daita,
Meri sheh rag pey jo khanjar hai kai sadiyon say,
Mein ney jiss k liye her shakhs ko naraz kiya,
Rooth jaye na yahi darr hai kai sadiyo'n say,
Uss ki aadat hai jarrain kaat'tay rehnay ki WASI,
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon say...
No comments:
Post a Comment