Bachpan ka vo december
Thithertii dhaltii shaamoN men
Angan ki devaar sey sarktii dhoop
Jaltay huye koyaloN ki mehak
Or meray phatay huye gaalOn par
Lakeerain banatay,vo jamay huye aansoo...
Aasman pr jamtii,vo baadloN ki dhund dekh kar
Ammi ka darvazay par kharay ho kar pukarana
Or ham sabka matti bharay khanchay shambaal kar
Apnay apnay gharon ko bhaagna............
Raat bar chhup chhup kar aasmaan ko dekh kar Bbarf girnay ki duayen karna
Or phir subha phut.tay hi sehan men girtii baraf k gaalon k saath
Khud ko bhi gaaloN k sath urtay mehsoos karna
Phir tum aa gyeen
Or bachpan ka december beet gaya
Tab pehron ki saraktii thandii dhoop talay
Main tumharii aik jhalak dekhnay k liye
Aasmaan sey girtii baraf ki chandnii
Apnay vajood par sajata raha
Zameen par bichii iiss chadar par merey qadmon ka har nishhaN
Tumharay ghar ki dehleez tak hi jata raha
Phir vo december bhi beet gaya
Or dekhoo.....
Main ab bhi galii ki usi nukarr par kharra hoon
Thithartii dhaltii shaam bhi haii par sunehrii dhoop nahii saraktii
Waqt jaisey tham sa gya hai
Waqt k sitaray merey baalon men chaandni bikhair to rahay hain
Per,inhain bhigo nahi paatay
Yeh kaisi berfeeli shaam hai
Jis ki sardi merey aansoo jama nahii patii
Jaltay koelay ka dhuaaN aankh to jalata hai
Per iss men vo mehak nahii haii or dehko merey ghar ka darwaza....
Patt kholay khara to hai laikin
Ammi ki daantt na janay kahan khoo gayee???
Tumharay ghar ki taraf jatay sab hi rastay
Iss qadar sunsaan kyun parray hain
Iss barfeeli shaam men
Orr
Meray bachpan k december men
Kitna farq haii........????
No comments:
Post a Comment