Pages

Saturday, 11 February 2012

Kuch to ay yaar elaaj-e-gham-e-tanhai ho




Kuch to ay yaar elaaj-e-gham-e-tanhai ho,,
Baat itni bhi na barh jaaye keh ruswai ho...

Jis ney bhi mujhko tamasha sa bana rakha hai,,
Ab zaroori hai wohi aankh tamashai ho...

Doobnay walay to aankhon sey bhiu kab niklay hain,,
doobnay k liye laazim nahi gehrai ho...

Mein tujhey jeet bhi tohfay men nahi dey sakta,,
Chahta yeh bhi nahi huun keh teri paspaai ho...

Koi anjaan na ho shehar-e-muhabbat ka makeen,,
kaash har dil ki har ik dil sey shanasai ho...

Yun guzar jata hai "MOHSIN" terey koochay sey woh,,
Tera waaqif na ho jaisay koi sodaai ho...


No comments:

Post a Comment