Pages

Saturday, 29 September 2012

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Men



Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Men
Woh Merey Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men,

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chhor Gaya Hai Kai Nishaan Mejh Men,

Azeez Itna Bhi Kyun Hai Sakoot-e-Shaam-e-Al'am ??
Kahaan Sey Aaee Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Utarta Hai Meri jaan Mujh Men,

Ye Kon Baant Gaya Mujh Men Ronaqain Apni ??
Yeh Kon Kar Gaya Abaad Ek Jahaan Mujh Men ??

Main Jab Bhi Haath barrhaney Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urrney Lagti Hain Titliyaan Mujh Men

No comments:

Post a Comment