koi phool dhoop ki pattiyon men harray ribbon sey bandha hua
wo ghazal ka lehja naya naya na kaha hua na suna hua
jisey lay gaii abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka
kaheen aansuon sey mita hua kaheen aansuon seylikha hua
kaii meel rait ko kaat ker koi mauj phool khila gaii
koi pairr pyas sey mer raha hai nadi kay pas kharra hua
wohi khat keh jis pey jagah jagah do mehaktey honton k chand thay
kisi bhooley bisrey sey taaq per tah-e-gard ho ga daba hua
mujhey haadsoon ney saja saja k buhat haseen bana dia
mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehndiyon sey racha hua
wohi shehar hai wohi raastey wohi ghar hai aur wohi lawn bhi
magr is dareechay sey poochna woh darakht anaar ka kaya hua?
meray sath jugnu hai humsafar magar is sharar ki bisat kaya
yeh chiragh koi chiragh hai na jala hua na bujha hua
No comments:
Post a Comment