Pages

Thursday, 29 November 2012

Muhabbat


MUHABBAT OSS KI SURAT
Pyasi pankhari k hont ko sairaab karti hai 
Gulon ki aastinon men anokhay rang bharti hai
Sehar k jhatpatay men gungunati muskurati jagmagati hai
Muhabbat k dino men dasht bhi mehsoos hota hai
Kisi firdos ki surat.......................mohabbat oss ki surat

MUHABBAT ABAR KI SURAT
Dilon ki sarzamin pay ghir k aati aur barasti hai
Chaman ka zarrah zarrah jhoomta hay muskurata hai
Azal ki bay namoo matti men sabza sar uthaata hai 
Muhabat un ko bhi aabad aur shadaab karti hai 
Jo dil hian qabar ki surat...................muhabbat abar ki surat

MUHABBAT AAG KI SURAT
Bhujay seeno'n men jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
Mohabbat ki tappish men kuch ajab israar hotay hain
Keh ..jitna yeh bharakti hai ,uroos-e-jan mehakti hai
Dilon k saahilon pay jamma hoti aur bikharti hai 
Mohabbat jhaag ki surat..........mohabat aag ki surat

MUHABBAT KHAWAB KI SURAT
Nigahon men utarti hai kisi mahtaab ki surat
Sitaaray aarzu k is terha say jagmagatay hain
Keh pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
Mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
Tou shaakhain jaag uth'ti hain
Thakay haaray sitaray jab zamin say baat kartay hain 
Tu kab ki muntizar aankhon men........shammain jaag uth'ti hain
Muhabbat in men jalti hay chiragh-e-aab ki surat
Muhabbat aag ki surat.....muhabat khawab ki surat

MUHABBAT DARD KI SURAT
Guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hai
Shabaan-e-hijar men roshan sitara ban k rehti hai 
Mandairon par chiraghon ki lo'yen jab thartharati hain 
Nagar men na umeedi ki hawayen sansanati hain
Gali men jab koi aahat koi saya nahi rehta
Dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta 
Ghamon k bojh say jab tootnay lagtay han shaanay tau
Yeh unn pay haath rakhti hay 
Kisi hamdard ki surat
Guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
Fizaa men tairti hai dair tak......
Yeh gard ki surat..............muhabbat dard ki surat ........


No comments:

Post a Comment