Pages

Monday, 31 December 2012

December ki Woh Aakhri Shab

 

Jaatey December ki us aakhri shab

mujhay yaad aaye woh guzrey huye pal

keh jab tum aur hum bicherrney lagay thay

na tum kuch thay bolay, na main ney kaha kuch

magar khaamshi sey woh sub kuch ayaan tha

tumharey humarey jo dil men nihaan tha

meri ashk aankhon men bus ik dua thi

raho khush humaisha, raho tum jahan bhi

tumhain merey ashkon ney pighla diya tha

"magar chalti saanson ney rukna kahan tha !"

mujhay chorr ker tum chaley, phir na aaye

rahey muntazir meri palkon k saaye

yunhi saal guzra, december bhi beeta

magar merey zakhmon ko phir kaun seeta !

usi aakhri shab k pichley pehar men

tha kitna chiraghaan barr-o-behar men

mehav thay naye saal ki ronaqon men

chehray bohat muskuratey huye sub

magar tum kaya jano thi kitni akaili

main aur December ki woh aakhri shab !!



No comments:

Post a Comment