Pages

Monday, 31 December 2012

Raqeeb Aankhen























Woh aankhen kaisi aankhen hein

Jinhen ab tum chaaha kartey ho!

Tum kehtey thhey 

Meri aankhen itni achhi itni sachi hein 

Is husn ur sachai k siva Duniya men koi cheez nahin 

Kaya un aankhon ko dekh k bhi 

Tum Faiz' Ka Misra Parhtey ho? 


Tum kehtey thhey 

Meri aankhon ki neelahat itni gehri hai 

"Meri rooh agar ik baar uter jaaey to is ki por por Neelum ho jaaey" 

Mujhey itna batao 

Aaj tumhari rooh ka Rang-e-Perahan kaya hai 

Kaya woh aankhen bhi samander hein? 


Yeh Kaali bhoori aankhen  

Jin ko dekh k tum kehtey thhey 

Youn lagta hai shaam ney raat k hont peh hont rakhey hein 

Kaya sooraj doobney ka lamha un aankhon men bhi thehar gya hai

Ya wahan faqt Mahtab tershtey rehtey hein 


Meri Palken 

Jin ko dekh k tum kehtey thhey 

In ki chhaaon tumharey jism peh apni shabnam phela dey 

To guzartey khawab k mosam lot aayen 

Kaya woh Palken bhi aisi hein 

Jinhen dekh k neend aa jati ho? 


Tum kehtey thhey 

Meri aankhen younhi achhi hein 

"Haan agar Kajal ki Dhundlai hui tehreer bhi ho......to 

Baat bohat dilkash ho gi!" 

Woh aankhen bhi singhaar to karti hon gi 

Kaya un ka kajal bhi khud hi mit jaata hai?


Kabhi yeh bhi hua 

kisi lamhey tum sey roothh k woh aankhen ro diin 

Aur tum ney apney haath sey un k aansoo khushk kiye 

Phir jhuk ker un ko choom liya



"(Kaya un ko bhi)"

No comments:

Post a Comment