Pages

Monday, 7 January 2013

Aasaib zad'aa hai terey honton ki halawat


Hum zaat k auraaq pey bikhri hui shab hain
Meyaar elehda hein, par insaan to sub hain

Aasaib zad'aa hai terey honton ki halawat
Afsurda-e-khatir terey lehjey k sab'ab hain

Dolat k trazu men bhi Imaan likha hay
Hum saahib-e-kirdaar hain, Parwarda-e-Rub hain

Deroz k chehrey ki ibadat bhi zara parh
Maimaar hain aainda k, Qaatil terey kab hain

Hum donon Muhabbat k siwa jaanty thay kaya
Aisay to na thay Dost! keh jis haal men ab hain

Wo husan ka paikar hay, keh Asaab ka Qaatil 
Aankhian kisi Aahu ki hain, Yaqoot say lub hain

Jismon k Zakhirey ka sumandar hai,magar hum
Ik Chashm-e-Sitam pesha sey Ikhlas Talab hain


No comments:

Post a Comment