Wohi galiyaan,wohi koochey wohi sardi ka mausam hai
Ussi andaaz sey apna nizaam-e-zeest barham hai
yeh husn-e-itefaaq aisa keh nikhrii chandni bhi hai
Wohi har simm't veraani,udaasi tishnagi si hai……
Wohi bheerr sochon ki, wohi tanhaiyaan phir sey
Musafir ajnabi aur dasht ki panhaiyaan phir sey
Mujhey sab yaad hai, kuch saal pehley ka yeh qissa hai
Wohi lamhey tu viraney ka ik abaad hissa hai
Meri aankhon men woh ik lamha maujood ab bhi hai
Woh zinda raat merey saath laakhon bar jaagi hai
Kisi ney raat ki tanhayi men sarghoshiyaan ki thii'n
Kisi ki narm-guftaari ney dil ko loriyaan di thii'n
Kisi ney meri tanhayi ka saara qurb baan'ta tha
Kisi ney raat ki chunri men roshan chaand taan'ka tha
Chamaktey jugnu'on ka ik sail bakhshaa tha raaton ko
Dharakta sa unwaan diya tha merey khawabon ko
Merey shairo'on men ilhaam ki soorat utra tha
Maafi ban kay jo lafzoon men pehli bar dharka tha
No comments:
Post a Comment