Lafzon ki charagari men kaisa kamaal aaya hai
Ghazal kehti hoon jab bhi tera khayaal aaya hai
Shehar e dil par to hai ab talak gham ka saaya
Log kehtey hain keh nayi rutt naya saal aaya hai
Main to qaid hun terey hijr ki rut men magar
Tu yeh kehta hai keh mousam-e-visaal aaya hai
Tujh sey hi mein terey honey ka hawaala maangun
Ay muhabbat yeh kaisa tujh pey zavaal aaya hai
Fareb-e-sukhan ki baat ab na mujh sey poochiye
Keh aaina-e dil men aaj phir say baal aaya hai
Tham ja aaj to ay dharkan-e-dil-e-shaz kyun keh
Zikr-e-wafa par us kay chehrey pey malaal aaya hai
No comments:
Post a Comment