Pages

Wednesday, 4 September 2013

Meri shaam phir sey sanwaar dey


Merey sabar ka na ley Imtehaan
Meri khaamoshi ko sada na dey
Jo terey baghair na jee sakey
Usey jeeney ki to duaa na dey

Tu azeez Dil-o-nazar sey hai
Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai
Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla
Kaheen waqat aur barha na dey

Tujhey bool k bhi na bulaa sakoon
Tujhey chaah k bhi na paa sakoon
Meri hasraton ko shumaar kar
Meri chahaton ka silaa na dey

Wo tarap jo shula-e-jaan men thi
Merey tan badan sey lipat gayee
Jo bujha sakey to buja isey
Na bujha sakey to hawa na dey

Tujhey agar milen kabhi fursatein
Meri shaam phir sey sanwaar dey
Agar qatal karna hai to qatal kar
Yoon judayion ki saza na dey

No comments:

Post a Comment