😊 I love poetry and specially Urdu poetry. I am here to share my favourite poetry with you. I hope you like it and please don't forget to show your love by liking, commenting and following the blog. 😊
Sunday, 22 April 2012
tujhay sochna mera mashghala
Kabi Khood bhi Mere paas aa,
Meri Baat sun Mera Saath dey
Jo Khalish hai
Dil se Nikaal ker,
Mujhey Uljhanon sey Nijaat dey
Tujhey Sochna Mera Mashghala,
Tujhey Dekhna Meri Aarzoo
Mujhey Din dey apney Khayal kay,
Mujhey qurb ki ek Raat dey
Meri Zindagi Merey saath chal,
Merey Haath mai apna Haath dey
Mujhey Gham bhi Khushi sey Qabool hai,
Jo Tu agar Mera Saath dey...
tujhey bhool k daikhain gay kisii din
Khud apney liye baith k sochain gay kisii din
yoon hai keh tujhey bhool k daikhain gay kisii din
bhatkay huvay phirtey hain ka_ii lafz jo dil men
duniyaa ney diyaa vaqt to likkhain gay kisii din
hil jaayain gay ik baar to arshon k dar-o-baam
yeh Khaak_nasheen log jo bolain gay kisii din
aapas kii kisii baat kaa miltaa hii nahin vaqt
har baar yeh kehtey hain keh baithain gay kisii din
ay jaan terii yaad k be-naam parindey
shaa_khon pay merey dard kii utarain gay kisii din
jaatii hai kisii jheel kii gehraa_ii kahaan tak
aankhon maen terii Duub k daikhain gay kisii din
Khushbuu sey bharii shaam men jugnuu k qalam sey
ik nazm terey vaastey likhain gay kisii din
soyain gay terii aankh kii khil_vat men kisii raat
saaye men terii zulf k jaagain gay kisii din
Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa sey
galiyon sey terey shehar kii guzrain gay kisii din
'Amjad' hai yahii ab keh kafan baandh k sar par
us shehar-e-sitam_gaar men bhi jayain gay kisii din...!!!
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Milley Ga
Bheegi Hui Aankhon Ka Yeh Manzar Na Milley Ga
Ghar Chhorr K Mat Jaao Kaheen Ghar Na Milley Ga
Phir Yaad Bohot Aaye Gi Zulfon Ki Ghani Sham
Jab Dhoop Men Saaya Koi Sar Per Na Milley Ga
Aansoo Ko Kabhi Aus Ka Qatra Na Samajhna
Aisa Tumhein Chahat Ka Samandar Na Milley Ga
Is Khawaab K Maahol Men Be-Khawaab Hain Aankhein
Jab Neend Bohot Aaye Gi To Bistar Na Milley Ga
Yeh Soch Lo Ab Aakhri Saaya Hai Mohabbat
Is Dar Sey Utho Gi To Koi Dar Na Milley Ga
aik hi shehr men rehna hey magar milna nahin

baaton baaton men bicharrnay ka ishaara ker k
khud bhi wo roya bohat hum sey kinaara ker k
sochta rehta hoon tanhaai men anjaam-e-khaloos
phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara ker k
jagmaga di hen teray shehar ki galiyaan men ney
apnay her ashk ko paloon pey sitaara ker k
daikh laitay hen chalo hosla apnay dil ka
aur kuch roz teray saath guzaara ker k
aik hi shehr men rehna hey magar milna nahin
daikhtay hen yhe azeeyat bhi gawaara ker k
Subscribe to:
Posts (Atom)
!-end>!-currency>