Thursday, 8 September 2011

Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon

Socha tha pehlay kar loon woh kam jo mujh ko karnay hain
Phir to saray mah o saal usi kay sath guzarnay hain


Jub yeh farz ada kar loonga jub yeh qarz utaroon ga
Umr ka baqi hissa teri yad kay saath guzaaroon ga


Aaj faraghat patay hi mazi ka daftar khola hay
Tanha'ee main baith kay apna ik ik zakhm tatola hay


Chhaan chuka hoon jism o rooh per aa'ee hu'ee kharashoon ko
Ulat pulat kar dekh liya hay armanon ki laashon ko


Kamray main rakha tha usay..ya dil main kahin dafnaya tha
Janay woh anmol khazana main nay kahan chupaya tha


Sari umr ka hasil thi yeh khonay wali cheez na thi
Soch raha hoon yad teri gum honay wali cheez na thi


Warq warq dekha hay apni gard alood kitabon ko
Jaisay koi bedari main dhoond raha ho khawaboon ko


Muddat say jo bund pari thi woh almari dekhi hay
Zang lagay sandooq ki her sha'ay baari baari dekhi hay


Kamray main phaila kar main nay suit puranay dekh liyay
Apni likhnay wali maiz ka saray khanay dekh liyay


Aql kay hathoon say bhi aksar nadani ho jati hay
Bohut sanbhaal kay rakhnay per bhi cheez kabhi kho jati hay


Apnay saray ghar waloon ko deewana sa lagta hoon
Is kamray say us kamray main khoya khoya phirta hoon


Soch samjh kar dunya ki nazroon say chupa kar rakha tha
Main nay tou is yad ko apnay liyay bacha kar rakha tha


Teri yad kahin rakh kar main bhool gaya hoon

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets