Wahi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa jao
Wahi Hai Sar Wahi Sauda Hai, Ab Bhi Aa jao
Jisay Gaye Huye Khud Se Ab Ik Zamaana Hua
Wo Ab Bhi Tum Main BhaTakta Hai, Ab Bhi Aa jao
Wo Dil Se Haar Gaya Hai Par Apni Daanish Main
Wo Shakhs Ab Bhi Yagaana Hai, Ab Bhi Aa jao
Main Khud Nahi HooN Koi Aur Hai Meray Andar
Jo Tum Ko Ab Bhi Tarasta Hai, Ab Bhi Aa jao
TumheN Thha Naaz Buhat Jis Ki Naam-Daari Par
Wo Saaray Shehar Main Ruswaa Hai, Ab Bhi Aaj ao
YahaN Se Saath Hi KhuwaaboN K Shehar JayeN gay
Wohi JunooN, Wohi SeHra Hai, Ab Bhi Aa jao
Kisi Se Koi Bhi Shikwa Nahi Magar Tum Se
Abhi Talak Mujhay Shikwa Hai, Ab Bhi Aa jao
Abhi Sadaa-E-Jaras Ka Nahi Hua Aaghaaz
Gubaar Abhi Nahi uTTha Hai, Ab Bhi Aa jao
No comments:
Post a Comment