Ussay jaB bhi mera khayaL Aata ho Ga
apni paLkain Woh DheeRay sey Jukhaata ho Ga
Daikh kar khana_e_DiL main DhundLi Tasveer meri
apni aankhoN ki nami kaisey mitata hoGA
Sham dhaLteY hi GuL_E_LaaLA sey MiLkAR Woh
apney Rukhsaar ki Surkhi kaisey Chupaata HoGA
us ko aati ho Gi yaad meri JaB Bhi
Meri tasveer sey hont apney LaGAata hoGA
saawan ki Barsti RuTON main Aksar woh mera NaaM
Duur urtay huey badaL pey LiKh LiKH kar mitaata HoGA
saanson ki mehak sey paye ga pata Mera
JaB na saaye ko bhi pass apney paata hoGA
Chaha to buhat HoGA muj sey LipatNa Usney
Apni khawaish ko wo marey QaRb main kaisey daBaata hoGA
Reh nahi sakta main daikhey Bina ek paL Us Ko
Lamha Wo Mujh sey Judaii ka wo Kaisey bitaTa hoGA
uskey chahrey pey Barasti HayaooN ki Barish ho Gi
Apney AhBaaB ko JaB meray Qissay SuNaaTA hoGA
Wo apney sabhi jazbooN ko PaBanD_e_RiwaYat Kar Key
QufaL_e_Khamoshi apney HontoN pey LaGAta ho Ga
Mujhey KhaWAbOn main BaNa Kar wo GuL_e_Nobhar
wo NeeNd sey khud ko Sawairay Kaisay JaGaTa hoGA......!
😊 I love poetry and specially Urdu poetry. I am here to share my favourite poetry with you. I hope you like it and please don't forget to show your love by liking, commenting and following the blog. 😊
Pages
▼
No comments:
Post a Comment