Pages

Thursday, 19 January 2012

Muddat bad aaj phir udaas hua hai yeh dil usey yaad ker kay




Tujh say maaNga hi nahiN maiN nay kabhi maaNgnay waloN ki tarha
KHaali hathoN ko hamesha dekhta raha biCheR jaanay waloN ki tarha

Muddat bad aaj phir udaas hua hai yeh dil usey yaad ker kay
Jaisay kuCh rakh kay kahiN bhool gaya bhool jaanay waloN ki tarha

Aye ajnabi kuch bhi to nahiN badla mut dekha heraan ho kay mujhey
Yeh dil or aankheiN phir behal jaieN gay behal janay waloN ki tarha

Sunsan ghar ki wehshat ko tum kaya jano gay roshni meN reh ker
Aitbar ker kay kabhi meray dil meN ana rehnay waloN ki tarha

kiyuN hijr ki yeh soghateiN mileeN iss umr-ay-natawaaN meN abb
Jisey bhool gaya kiyuN woh yaad aaya phir yaad aanay waloN ki tarha

Khavab thaa ya meray hoNtoN pay tera naam thaa junbish ki surat
AaNsu munjamid ho gaye phir naa maaNga maiN nay tujhey maaNgnay waloN ki tarha

Safer lamba ho aur saath naa koi ho tu thakk hi jana hai mujhey "Noor"
Bay zar'ar hi kattay heiN rastey raah bhatak janay waloN ki tarha 


No comments:

Post a Comment