Pages

Sunday, 15 January 2012

shikasta manzaron ki kirchiyan aankhon men chubhti hain





yunhi sajj dhajj k rehnay sey kahan touqeer banti hai
Dua jazbay na oarrhay to kahan taaseer banti hai...........

jigar k zakhm hi to daastan men rang bhartay hain
wagarna lafz likhnay sey kahan tehreer banti hai.....

jahan tareekiyan aasaib ki surat mussalat hon
wahan shammain jalaanay sey kahan tanveer banti hai

shikasta manzaron ki kirchiyan aankhon men chubhti hain
keh deewanon k khawabon ki kahan tabeer banti hai.....

yeh socha tha barasti aankh us ko rok lay shayed....?
mager ashkon ki karriyon sey kahan zanjeer banti hai

hazaar baar ki koshish mager mumkin nahi.....
bhala khud he bananay sey kahan taqdeer banti hai...?



No comments:

Post a Comment