Pages

Thursday, 26 April 2012

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahta hai


shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahta hai
voh magar Khud ko jalaana bhii nahiiN chaahta hai

us ko manzuur nahiiN hai merii gumraahii bhii,
aur mujhey raah pey laana bhii nahiiN chaahta hai

sair bhii jism k sehraa kii Khush aatii hai magar,
dair tak Khaak uRaana bhii nahiiN chaahta hai

kaisey us shaKhs sey tabiir pey israar kareN
jo koii Khawaab dikhaana bhii nahiiN chaahta hai

apney kis kaam meN laaye ga bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pey ganvaanaa bhii nahiiN chaahta hai

merey lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahta hai

No comments:

Post a Comment