Pages

Wednesday, 19 September 2012

Chhupaaye dil men ghamon ka jahan baithey hain



chhupaaye dil men ghamon ka jahan baithey hain
tumhari bazm men ham be'zubaan baithey hain

yeh aur bat keh manzil pey ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai keh raahon ko chhaan baithey hain

fughan hai dard hai soz-o-firaq-o-daagh-e-alam
abhi to ghar men bohat mehrbaan baithey hain

ab aur gardish-e-taqdir kaya sataaye gi
luta k ishq men naam-o-nishaan baithey hain

wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
jisey shari'at-e-ehsas maan baithey hain

hai mai'kadon ki bahaaron sey dosti 'Saagar'
baraye had-e-yaqin-o-gumaan baithey hain


چھپائے دل میں غموں کا جہان بیٹھے ہیں

تمہاری بزم میں ہم بے زبان بیٹھے ہیں

یہ اور بات کہ منزل پہ ہم پہنچ نہ سکے

مگر یہ کم ہے کہ راہوں کو چھان بیٹھے ہیں

اب اور گردشِ تقدیر کیا ستائے گی

لٹا کے عشق میں نام و نشان بیٹھے ہیں

وہ ایک لفظِ محبت ہی دل کا دشمن ہے

جسے شریعتِ احساس مان بیٹھے ہیں

ہے میکدے کی بہاروں سے دوستی ساغٌر

برائے حد یقین و گمان بیٹھے ہیں 


No comments:

Post a Comment