Pages

Thursday, 20 September 2012

Usski ruswai ka meray dil pey jo ik zakhm tha


uss ki khaatir aankh ko darya nahee'n honey diya
maslehat iss mai bhi thi charcha nahee'n honey diya

go, thay aapas k ravaiyye mukhtalif andaaz k
hashr socho'n ka magar barpa nahee'n honey diya

usski ruswai ka meray dil pey jo ik zakhm tha
aaj tak halaat ney acha nahee'n honey diya

hijr ki talkhi ney bakhshi hai mujhay roshan kiran
wasl k daaman ko bhi maila nahee'n honey diya


saath rakhta hoo'n hamesha uski yaadon ka hajoom
main nay khud ko aaj tak tanha nhee'n honey diya

faash ho janey k darr sey us nay basti chho'rr di
main nay bhi uss raaz ko afsha nahi honey diya

log aadaab e mohabbat bhool jaatey hain magar
main nay to ikk pal ko bhi aisa nahee'n honey diya

main sha'oor e asr ki qindeel mai hoo'n zoo'fisha'n
soch ko SHAUKAT kabhi dhundhla nahee'n honey diya


No comments:

Post a Comment