Pages

Monday, 21 January 2013

Main aur merii aavaaragii
















Phirtey hain kab sey dar'badar, ab is nagar ab us nagar
ek duusarey k hamsafar, main aur merii aavaaragii
naa aashanaa har rahguzar, naa meharbaaN hai ek nazar
jaayen to ab jaayen kidhar, main aur merii aavaaragii …….

ham bhii kabhii aabaad they aisey kahaaN bar_baad thay
be'fikr they aazaad they masruur they dil_shaad thay
vo chaal aisi chal gayaa ham bujh gaye dil jal gayaa
nikley jalaa k apnaa ghar main aur merii aavaaragii…

vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil huu'bahuu
thiin jis kii baaten kuu_ba_kuu us sey ajab thii guftaguu
phir yuuN huaa vo kho gaii aur mujh ko zid sii ho gaii
laayen gey us ko DhuuND kar main aur merii aavaaragii …….

ye dil hii thaa jo seh gayaa, wo baat aisii keh gayaa
kehney ko phir kyaa reh gayaa ashkon kaa dariyaa beh gayaa
jab keh kar wo dilbar gayaa, terey liye main mar gayaa
rotey hain us ko raat bhar, main aur merii aavaaragii ………

ab Gham utahaayen kis liye, yeh dil jalaayen kis liye
aaNsuu bahaayen kis liye, yuuN jaaN gavaayen kis liye
peshaa na ho jis kaa sitam, DhuuNden gey ab aisaa sanam
hon gey kahiin to kaar_gar, main aur merii aavaaragii

jab ham_dam-o-ham_raaz thaa, tab aur hii andaaz thaa
ab soz hai tab saaz thaa, ab sharm hai tab naaz thaa
ab mujh sey ho to ho bhii kyaa, hai saath vo to vo bhii kyaa
ek be'hunar ek be'sabar, main aur merii avragiiiii……..


No comments:

Post a Comment