Monday, 17 October 2011

sochtaa huuN keh mehfuuz kar luuN isay apne seenay meN lafz-o-bayaaN kii tarah


sochtaa huuN keh mehfuuz kar luuN isay apne seenay meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii dair meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah


yeh rafaaqat bohut muKhtasar hai meray hamsafar laa mire haath meiN haath day
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah


haal zaalim shikaarii kii suurat mujhay, vaqt kii zeen say baandh kar lay chalaa
mera maazii meray saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah


sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachnay ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii nay saroN par ko’ii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah


KhvahishoN kay samandar say ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
jism kashtii kii maanind ulaTnay lagay, pairahan uRRgaye baadbaaN kii tarah

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets