Thursday, 25 August 2011

CHARA-GARON KI QAID SAY CHOOTAY...TABEERAIN SUB RAAKH HUEEN

Ab kay safar main, tishna-labi main kia batla’ain kya kya dekha
Sehra’on ki pyas bujhaatay darya’on ko pyaasa dekha


Shayad wo bhi sard ruton kay chand si qismat laya ho ga
Sheher ki bheer main aksar jis ko hum nay tanha tanha dekha


Chara-garon ki qaid say chootay, tabeerain sub raakh hueen
Ab kay dil main dard wo utra, ab kay khwab hi aisa dekha


Dard ka tajir baant raha tha galiyon main majrooh tabassum
Dil ki choat koi kia janay, zakhm ko aankh main gehra dekha


Jis kay liye badnaam huay hum, aap to us say mil ker aaye
Aap nay us ko kaisa paya, aap nay us ko kaisa dekha


Kaisa shakhs tha zard ruton ki bheer main jub bhi saamnay aaya
Us ko dhoop sa khilta paya, us ko phool sa khilta dekha


Abr ki chadar taan kay jheel main saaton rang rachanay utra
Moaj-e-aab ki teh main janay chand nay kis ka chehra dekha


Teray baad hamaray haal ki her rut aap gawahi day gee
Her mausam main apni aankh main aik hi dard ka saya dekha


Mohsin band kawaar kay peechay chhup rahi hai sehmi shum’ain
Jesay umr kay baad hawa nay meray ghar ka rasta dekha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets