Sunday, 28 August 2011

Phir Yuun Huwa Keh Mujh Say Qazaa Ho Gaya Woh Shakhs



Meray Liye To Harf-e-Dua Ho Gaya Woh Shakhs
Saaray Dukhon Ki Jaisay Da'wa Ho Gaya Woh Shakhs


Mein Aasmaan Par Tha To Zameen Ki Kashish Tha Woh
Utra Zameen Par To Hawa Ho Gaya Woh Shakhs


Mein Us Ka Haath Dekh Raha Tha Keh Daf'atan
Simta,Simat Kay Rang-e-Hina Ho Gaya Woh Shakhs


Phirta Hai Lay Kay Aankh Ka Kashkol Dar Bdar
Dil Ka Bharam Luta To Gad'aa Ho Gaya Woh Shakhs


Yuun Bhi Nahi Keh Pass Hai Meray Woh Hum'nafas
Yeh Bhi Ghalat Hai Keh Mujh Say Juda Ho Gaya Woh Shakhs


Parh'ta Tha Mein Namaaz Samajh Kar Usay “RASHEED“
Phir Yuun Huwa Keh Mujh Say Qazaa Ho Gaya Woh Shakhs


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets