sitara dhoondna hai
sitaron say bharay is aasman ki vusaton men
mujhay apna sitara dhoondna hai
falak par kehakashan dar kehakashan ik bay karaani hai
na us ka naam hai maloom, na koi nishani hai
bus itna yaad hai mujh ko
azal ki subha jab saray sitaray
alwidai guftagu kartay huay raston pay niklay thay
to us ki aankh men ik aur taara jhilmilaya tha
usi taaray ki surat ka
meri bheegi hui aankhon men bhi ik khvab rehta hai
mein apnay aansuon men apnay khvabon ko sajata hoon
aur uski raah takta hoon
suna hai gumshuda cheezen
jahan pay khoi jati hain
wahin say mil bhi jati hain
MUJHAY APNA SITARA DHOONDNA HAI
No comments:
Post a Comment