MishaleN derd ki seenoN meiN jalaaey Rakhna
Apney KaandhoN pe saleeboN ko uthaaey rakhna
Khak jalwoN sey na ho jaaey kaheeN toor-e Khayal
Bazm-e jaanaN meiN nazar apni Jhukaaey rakhna
Jaaney phir saqi-o mey khana mileN ya na MileN
Apni saansoN mein mehek mey ki basaaey rakhna
Rehzan-e waqt kaheeN ye bhi mataa'a loot na ley
Apney seeney meiN mera derd chupaaey rakhna
Jaaney kab lot ke aa jaaey wo bhatakta raahi
Raat bher shama dareechey meiN jalaaey rakhna
Jab talak ho na tulu seena-e zulmat sey Qamar
apni palkowN pe sitaarowN ko sajaaey rakhna

No comments:
Post a Comment