Wednesday, 14 September 2011

In dinon shehr bhar k raston main

In dinon shehr bhar k raston main
nachti hai bala ki veerani!
aks der aks dasti rehti hai
be sada aainon ko hairani
saare chehron ke rang pheekay hain
saari ankhain ujaar lagti hain
saare din aahton ki ginti main
saari ratain pahaar lagti hain
bujhti jaati hai yaad ki sham’ain
apni palkon pe ansuuon k nageen
tootay hain to dil nahin chunta
jaisay shakhon se zard ru pattay
toot’tay hain . . koi nahin sunta
tu kahan hai, kahan nahin hai tu?
bhool ja . . yad kiyun nahin aata ?
hum se kaya pochna . mazaj-e-hayat?
hum to bus ik dareeda daaman main
bhar ke khakistar-e dyar-e wafa -!
le ke sadiyon ki baas phirte hain
in dinon shehr bhar ke raston main
hum akailay udas phirtey hain
ab ye sochain to ankh bhar aaye
in akailay ujaar raston main
tu bhi shayed kahin nazar aaye!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets