Thursday, 29 September 2011

wo khushbo bhaija karti thi maiN nazmaiN likhta rahta tha

wo khushbo bhaija karti thi maiN nazmaiN likhta rahta tha
wo hans k ujaa'la karti thi maiN subhaiN likhta rehta tha

geeli rai't pe sahil ki doobtey suraj k hum'raah
wo chup si chalti rahti thi maiN sochaiN likhta rehta tha

deep wafaa k hotey they ya shay'ed do taa'ray they
wo muj ko dekha karti thi maiN ankhaiN likhta rehta tha

tap'ti dhoop ka rang bhi to phoolooN sa ho jaa'ta tha
wo zulfaiN khola karti thi maiN shaa'maiN likhta rehta tha

toot kar aksar chaa'hat maiN rooth k yuunhi ulfat maiN
wo muj ko jeeta karti thi maiN maa'taiN likhta rehta tha

dono ki pehli chaa'hat thi dono toot k miltey thay
wo waaday karti rahti thi maiN qasmaiN likhta rehta tha

chunnd diN jab aa thehray they uski meri judaa'ee maiN
maiN us k haath maiN pehroN phir lakee'raiN likhta rehta tha

jaa'N say payaray say shikwa khud ko ruswa karna tha
maiN apnay hontoN pe chup ki bus muhraiN likhta rehta tha

dil ki hasrat aisi thi dil maiN jo reh jaa'ti thei
jo us se keh nahi paata tha wo bataiN likhta rehta tha

diN maiN dard ki shidat ko hans k maiN seh jaa'ta tha
par biN us k jo kat ti thein maiN raa'taiN likhta rehta tha ......

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets