Monday, 19 September 2011

apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai


deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai


us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai


aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai


ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khavabon men khilta nazar aata hai


aankhon nay nhi dekhi us jism ki raanaee
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai


darya ko kinaray say kaya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai


phir zau men nadeem apni kuch kum hai sitara hai woh
yeh raat ka aaina dhundla nazar aata hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets