sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahaten sabhi kalfaten
kabhi sohbaten kabhi furqaten kabhi duuriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo ham ne raqam kiye yeh hain sab warq teri yad k
koi lamha subah-e-wisal ka, kaii sham-e-hijr ki qurbaten
jo tumhari maan len nasiha to rahey ga daman-e-dil main kya
na kisi udu ki adawaten na kisi sanam ki murawwaten
chalo aao tum ko dikhayen ham, jo bacha hai maqtal -e-shehar main
yeh mazaar ahal-e-safa k hain yeh hain ahal-e-sidq ki turbaten
meri jaan aaj ka gham na kar, keh na janey katib-e-waqt ne
kisi apne kal main bhi bhuul kar kahin likh rakhi hon musarraten

No comments:
Post a Comment