Shakal us ki thi dilbaron jaisi
Khu thi lykin sitam garon jaisi
Us ke lab they sakoot ke dariya
Us ki ankhen sukhanwaron jaisi
Meri parwaz-e-jan main hayel hai
Saans totay hue paron jaisi
Dil ki basti main ronaqen hain magar
Chund ujraye hue gharon jaisi
Kon daikhay ga ab saleebon par
Suratain wo Paighambaron jaisi
Meri duniya ke badshahon ki
Adatain hain gadaagaron jaisi
Rukh pe sehra hain piyas ke Mohsin
Dil main lehrain samundaron jaisi...!
Khu thi lykin sitam garon jaisi
Us ke lab they sakoot ke dariya
Us ki ankhen sukhanwaron jaisi
Meri parwaz-e-jan main hayel hai
Saans totay hue paron jaisi
Dil ki basti main ronaqen hain magar
Chund ujraye hue gharon jaisi
Kon daikhay ga ab saleebon par
Suratain wo Paighambaron jaisi
Meri duniya ke badshahon ki
Adatain hain gadaagaron jaisi
Rukh pe sehra hain piyas ke Mohsin
Dil main lehrain samundaron jaisi...!
No comments:
Post a Comment