Pages

Monday, 31 October 2011

MERI MUHABBAT



Apni Khushyan Luta Kar Tujh Pe Qurban Ho Jaaun"
"Kash Kuch Din Teray Shehar Main Mehman Ho Jaaun"

"Tu Apna Nayaab DIL Mujh Ko Dey Or Phir Maangay"
"Main Mukar Jaaun Or Be-Emaan Ho Jaaun"

"Tu Mujh Pe Sitam Karay Her Kisi Ki Tarha"
"Main Teri Is Ada Per B Meharban Ho Jaaun"

"Tu Meray Paaon K Neechay Se Zameen Kheench Lay"
"Or Phir Main Tera Aasman Ho Jaaun"

"Tu Mujh Se Door Door Bhagta Phiray"
"KHUDA Koi Maujza Karey Main Teray Naam Ho Jaon"

Ager wo meherban hoti



Ager Wo meherban hoti
to meri aankh main
Na jhilmilati nami hoti
na mairay dil ki waadi main
hizan ka Qafla rukta
Ager wo meherban hoti….
Meri be-noor Ankhon main
sitaray Qaid ker deti
Meri Zakhmi hatheli per
wo ik phool dhar deti
mairay hathoon ko apnay hath main lay ker
Wo yeh kehti …
muhabbat roshni hai , rang hai
Khushboo hai sitara hai
Qasam mujhko muhabbat ki
Mujhe tuu Sab se payara hai
Mager
Aisa wo tab kehti
Ager wo meherban hoti



na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hain kashf-e-jamal kay



na wo sin hay fursat-e-ishq ka , na wo din hain kashf-e-jamal kay
magar ab bhi dill ko jawaaN rakhen wohi shobday khad-o-khal kay

yeh jo gard baad-e-hayat hay , koi iss ki zad say bacha nahi 
magar aaj tak teri yaad ko men rkahon sanbhaal sanbhaal kay

mein ameen-o-qadr shnaass thaa , mujhay sans sans ka pass tha
yeh jabeeN pay hein jo likhay hoey , yeh hisaab hein mah-o-sal kay

wo kabhi shafaq ka fasooN kahen , kabhi gull kahen kabhi khooN kahen 
keh hein meri subh-e-urooj mein abhi rang sham-e-zawaal kay

meri hasratooN ko haraa rakhay , meri kash-e-jaaN ko bhara rakhay 
yeh yaqeeN , kuch pay khulen gay darr kisi roz bash-e-shumaal kay

shab-e-tar say na dara mujhay , ay khuda jamal dikha mujhay 
keh teray saboot hein beshtar , teri shaan jah-o-jalal kay

koi kohkan ho k qais ho , Meeer ho kay Nadeeem ho 
sabhi naam ek he shakhs kay , sabhi phool ek he daal kay

Zabt ki konsi manzil thi , kis muqam pe aa k haare hain

Zabt ki konsi manzil thi , kis muqam pe aa k haare hain 
Itna to tumhen maloom hi hay , tere naam pe aa ke haare hain

Kabhi khhud pe jabr kiya hum ne kabhi khud ko youn be-mol kiya 
Hum subhon k lautne wale they, ek sham pe aa k haare hain

Ek dard musalsal hota hey , ek barish andar hoti hey
Keh heeron jaise log yahan , ilzaam pe aa k haare hain

Kab jeet ka daawa hum ne kiya , yeh azal ab'ad ka qissa hai
Hum bekhabri k aalam mein anjaam pe aa k haare hain

naqsh-e-Khayaal dil se miTaayaa nahiin hanoz



naqsh-e-Khayaal dil se miTaayaa nahiin hanoz
bedard main ne tujhako bhulaayaa nahiin hanoz

[hanoz=as yet/still]

vo sar jo terii raahaguzar me.n thaa sajdaa-raiz
main ne kisii qadam pe jhukaayaa nahiin hanoz

[sajdaa-rez=bowed]

maharaab-e-jaa.N men tuu ne jalaayaa thaa Khud jise
siine kaa vo chiraaG bujhaayaa nahiin hanoz

[maharaab=arched gateway (maharaab-e-jaa.N would imply in the inner heart)]

behosh hoke jald tujhe hosh aa gayaa
main badanasiib hosh men aayaa nahiin hanoz

mar kar bhii aayegii ye sadaa qabr-e-"Josh" se
bedard main ne tujhako bhulaayaa nahiin hanoz

[sadaa=voice/call; qabr=grave] 




TASHAKKAR (PARVEEN SHAKIR)




dasht-e-ghurbat mein jis pairr nay
meray tanha musafar ki khatir ghani chhaaoN phelai hay


uss ki shadaabiyoN k liay
meri sab ungliyaN


hawa mein Dua likh rahi hein




********************************




Meray ShaanoN pay sir rakh k


Aaj


kisi ki yaad mein wo ji bhar kay roya

Gaye Dinon ki Azeez BaateiN




" Gaye Dinon ki Azeez BaateiN
Nigaar SubheN, Gulaab RaateN
Basat-e-Dil bhi Ajeeb Shai hai
Hazaar jeeteN, Hazaar MaateN
Judaiyon ki hawayen , Lamhon kii
Khushk mitti Urraa Rahi hain
gaii Ruton ka malal kab tak
chalo keh ShakheN
to toot'tii hain
chalo keh qabron per khoon ronay sey
apnii aankhein hii phoot'tii hain .."

Jeewan kay un sab barsoN men






Jeewan kay un sab barsoN men 
Jo keh 
Tum bin beet chukay hain !
Kaya khoya aur kaya paya hay ?
Jab yeh sochoon jan-e-janaN!
To ehsaas yeh hota hay 
Tum ko paa kar 
Mein nay sari duniya pa lee 




Jeevan kay sab barson mein 
Jo keh 
Tum bin beet chukay hein ! 
Un men saansain baar theen mujh par 
Un mein ishq khazeena kab tha ?
Un mein jeena?
Jeena kab thaa !!!!!




WAFA KARO GAY....???


main saray jazbay
tamaam waday
duayen sari
sabhi iraaday
har ik tamanna
har ek khwahish
khumaar apna
khawab saray
muhabbton k nisaab saray
jo tum ko day doon
to itna keh do
WAFA KARO GAY....???

Yeh weham nahi to kaya hai, yeh gumaaN nahi to kaya hai


Yeh weham nahi to kaya hai, yeh gumaaN nahi to kaya hai
yeh jo dil say utth raha hai, yeh dhuwaaN nahi to kaya hai


tujhey kis dard ka rishta merey dar pay kheyNch laaya
tujhey kis ney keh diya tha merey paas har dawaa hai


terey kisi dukh ka chaaraa merey haath meiN nahi hai
meiN to khud bekaraaN hooN merey paas kaya dharaa hai


abhi bastiyaaN yaheeN heiN, tu loat jaa yaheeN say
merey saath saath na chal tu, yeh bohat barra juwa hai


tujhey kya khabar ay hamdam keh teri aarzu kay badly
merey dil pay jo laga tha, ab tak woh zakhm haraa hai


par gila nahi hai tujh say, merey khaloos meiN hi kami hai
mein nay jisey bhi dil say chaaha, usey laga keh wo khuda hai


meiN koi waaqeya nahi hooN, mujhey is tarha na socho
meri daastaaN ko chorro, bhala is meiN kya maza hai


tu laot kay aa gayaa hai, par mera dil to bujh chuka hai
ab tu kisi aur say pyaar kar ley, bas yehi teri sazaa hai

SaAz-o-awaaz khad-o-khaal men aa jatey hain

SaAz-o-awaaz khad-o-khaal men aa jatey hain,
Saans leta hoon to sur taal men aa jatey hain

Jang aur ishq men Haaray huay logon ki tarha,
Hum ghanimat k kisi maal men aa jatay hain

Zindagi khawab or khawab kee Qeemat lenay,
Jin ko aana ho kisi haal men aa jatey hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal bdalta he nahi,
Hum bhi daanista teri chaal men aa jatey hain

Sham dhaltay he kisi gosha-e-veerani men,
Hum parindon ki tarha jaal men aa jatey hain

Yeh shehar e hadsaat hay kabhi kabhi mila karo


Udasyon main zaat hay kabhi kabhi mila karo
BaRi kathin hayaat hai kabhi kabhi mila karo

Yahan to log dekhtay he dekhtay bicharR gaye
Yeh shehar e hadsaat hay kabhi kabhi mila karo

Who hadsa jo roonuma huwa tha apnay darmyan
Gaye dino ki baat hay kabhi kabhi mila karo

Kisi haseen khwaab main kabhi kisi khayal main
Judaiyon ki raat hay kabhi kabhi mila karo

Kaye dino say ajnabi na koi aashna mila
Udaas shehr e zaat hay kabhi kabhi mila karo

KhaRay khRay kahan suna sakooN ga daastan e dil
BarRi taweel baat hay kabhi kabhi mila karo

Qadam qadam pay ghat hay kabhi labhi mila karo
Hayaat pul siraat hay kabhi kabhi mila karo!!

Bas aik mohabbat kafi hai



Dil par zakham khanay ko
Dard-e-dil nibhanay ko
piyar main mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Ankhon ko aansoo dainay ko
Phir aansoon ko peenay ko
Aur qatra qatra jeenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Dil ka chain khonay ko
Khoon kay ansoo ronay ko
Aur mar mar k jeenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Rooh par aaey zakhmon ko
Rista na'soor banan'ay ko
Zehr-e-judai peenay ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Ashk dil main bahaanay ko
Chashm-e-nam chupanay ko
Has has k mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Zakham zakham dil say
Aur choor choor rooh say
Phir labon pay muskaan sajany ko
Bas aik mohabbat kafi hai

Jeewan bisat bichanay ko
Phir uss main haar janay ko
Aur qatra qatra mar janay ko
Bas aik mohabbat kafi hai


koi to hota!


koi to hota main jiss k dil ki kitab banta
main jiski chahat ka khawab banta

main hijar k mosam ki lambi
raat main yaad ban kar azaab banta

koi to hota!

jo meri khawahish men uth k raaton ko khoob rota
dkhon ki chadar lapait kar hujoom e dounya say door hota

mein rooth jata manata mujh ko
keh chaheY mera kosoor hota

koi to hota!

koi to hota mein jiss k itnay kareeb hota
na pass koi rakeeb hota mein tanha uss ka
habeeb hota.!!

ye silsila bhi ajeeb hota!
koi to hota..!!

Koi Baat Aisi Kiya Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo


Koi Baat Aisi Kiya Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo 
Milay Jis Say Dil Ko Qaraar Sa, Koi Shair Aisa Parha Karo 


Nahi Dukh Main Is KO Rakha Karo, Kabhie Sukh Bhi Isko Diya Karo 
Yeh Udas Hai Kayi Roz Say,Meray Dil Main Aa Kay Raha Karo 


Jo Kathin Kathin Say Hain Raastay,Yeh Sabhi Hain Kyon Meray Waastay 
Yeh Jo Jal Rahi Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Is Main Jala Karo 


Abhi Tak Tumhari He Aas Hai, Meray Dil Kay Ab Bhi Tu Paas Hai 
Hai Yeh Dil Tumharay Hisaar Main,Isay Meri Jaan Rehaa Karo 


Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho,Faqat Ik TUmhari He Baat Ho 
Abhi Jesay Tum Meray Saath Ho,YUnhi Meray Sath Raha Karo 

Sunday, 30 October 2011

تو جو آیا ھے تو جی بھر کے تجھے دیکھیں گے


تو جو آیا ھے تو جی بھر کے تجھے دیکھیں گے
بارش اشک ذرا آنکھ سے تھم جانے دے

najany kitnay dinon say malaal ki chaadar



نجانے  کتنے  دنوں سے ملال کی چادر
لپیٹ رکھی ھے تیرے خیال کی چادر


najany kitnay dinon say malaal ki chaadar
lapait rakhi hai teray khayaal ki chaadar

چلے بھی آؤ کہ پھر جنوری کا موسم ھے
اتار دی ھے دسمبر نے سال کی چادر
chalay bhi aao keh phir january ka mosam hai

utaar di hai december nay saal ki chaadar
ترا خیال ہمیں اور بھی ستانے لگا
کسی کے رخ پہ جو دیکھی جمال کی چادر
tera khayal hamen aur bhi sataanay laga

kisi kay rukh pay jo dekhi jamaal ki chaadar
!یہ بے سبب کا تغافل کہاں تلک جاناں
کبھی تو اوڑھ کے نکلو وصال کی چادر

yeh bay sabab ka taghaaful kahaan talak jaanan!
kabhi to oarrh kay niklo visaal ki chaadar

phool barsay kahin shabnam kahin gohar barsay



پھول برسے کہیں شبنم کہیں گوہر برسے
اور اس دل کی طرف برسے تو پتھر برسے

phool barsay kahin shabnam kahin gohar barsay
aur is dil ki taraf barsay to pathar barsay 

بارشیں چھت پہ کھلی جگہوں پہ ہوتی ھیں مگر
غم وہ ساون ھے جو ان کمروں کے اندر برسے

barishen chhat pay khuli jaghon pay hoti hain magar
gham woh sawan hai jo in kamron kay ander barsay 

کون کہتا ھے کہ رنگوں کے فرشتے اتریں
کچھ بھی برسے مگر اس بار تو گھر گھر برسے

kon kehta hai keh rangon kay farishtay utrain
kuch bhi barsay magar is baar to ghar ghar barsay 

ہم سے مجبور کا غصہ بھی عجب بادل ھے
اپنے ہی دل سے اٹھے اپنے ہی دل پر برسے

hum say majboor ka ghusa bhi ajab baadal hai
apnay he dil say uthay apnay he dil par barsay

وہ ایک شخص دعا ہی دعا ہمارے لئے



زمین جب بھی ہوئی کربلا ہمارے لئے
تو آسمان سے اترا خدا ہمارے لئے

انھیں غرور کہ رکھتے ھیں طاقت وکثرت
ہمیں یہ ناز بہت ھے خدا ہمارے لئے

تمہارے نام پہ جس آگ میں جلائے گئے
وہ آگ پھول ھے وہ کیمیا ہمارے لئے

بس ایک لو میں اسی لو کے گرد گھومتے ھیں
جلا رکھا ھے جو اس نے دیا ہمارے لئے

وہ جس پہ رات ستارے لئے اترتی ھے
وہ ایک شخص دعا ہی دعا ہمارے لئے

وہ نور نور دمکتا ہوا سا اک چہرہ
وہ آئینوں میں حیا ہی حیا ہمارے لئے

درود پڑھتے ہوئے اس کی دید کو نکلیں
تو صبح پھول بچھائے صبا ہمارے لئے

عجیب کیفیت جذب وحال رکھتی ھے
تمھارے شہر کی آب وہوا ہمارے لئے

دئیے جلائے ہوئے ساتھ ساتھ رہتی ھے
تمہاری یاد تمہاری دعا ہمارے لئے

زمین ھے نہ زمان نیند ھے نہ بیداری
وہ چھاؤں چھاؤں سا اک سلسلہ ہمارے لئے

سخن وروں میں کہیں ایک ہم بھی تھے لیکن
سخن کا اور ہی تھا ذائقہ ہمارے لئے

Friday, 28 October 2011

ana kay khail men usko bohat khasara hua


انا کے کھیل میں اس کو بہت خسارہ ہوا
کہ جیت کر بھی وہ لگتا ھے مجھ کو ہارا ہوا

ana kay khail men usko bohat khasara hua

keh jeet kar bhi woh lagta hai mujh ko haara hua

بس اک سانس تھی جو آتی جاتی رہتی تھی
وگرنہ تیرے بناں کب مرا گزارا ہوا

bas ik saans thi jo aati jaati rehti thi

wagarna teray bina kab mera guzara hua

کہاں خوشی تھی کہ چھپتی نہ تھی مگر اک دن
ترا وجود مرے غم کا استعارہ ہوا



kahaan khushi thi keh chhupti na thi magar ik din
tera wajood meray gham ka ista'ara hua

مثال ماہی بے آب ہم بھی تڑپا کئے
بچھڑ کے اس سے ہمارا بھی کب گزارا ہوا

misaal mahi bay aab hum bhi tarrpa kiay

bichhar kay us say hamara bhi kab guzara hua

یہ سوچتے ھیں کہ کیا کیا کہیں گے ہم اس سے
بس ایک لمحے کو وہ شخص گر ہمارا ہوا



yeh sochtay hain keh kaya kaya kahen gay hum us say
bas aik lamhay ko wo shakhs gar hamara hua

بچھڑنے والے نے جاتے ہوئے کہا تھا کچھ
یہ سوچ سوچ کے دل اور پارہ پارہ ہوا



bichharnay walay nay jaatay huay kaha tha kuch
yeh soch soch kay dil aur para para hua

کچھ ایسی تلخ طبیعت ہوئی ھے خالد
کہ زہرِ غم بھی اسے ان دنوں گوارا ہوا



kuch aisi talkh tabeeat hui hai khalid
keh zehar gham bhi usay in dinon gawara hua

کرب کے شہر سے نکلے تو یہ منظر دیکھا



کرب کے شہر سے نکلے تو یہ منظر دیکھا
ہم کو لوگوں نے بلایا ہمیں چھو کر دیکھا

جب بھی چاہا ہے کہ ملبوسِ وفا کو چُھو لیں
مثلِ خوشبو کوئی اڑتا ہوا پیکر دیکھا

وہ برسات میں بھیگا تو نگاہیں اٹھیں
یوں لگا ہے کوئی ترشا ہوا پتھر دیکھا

زندگی کتنی پریشاں ہے یہ سوچا بھی نہ تھا
اس کے اطراف میں شعلوں کا سمندر دیکھا

آ گئی غم کی ہوا پھر تیرے گیسُو چھو کر
ہم نے ویرانئہِ دل پھر سے معطّر دیکھا

وہ جو اڑتی ہے صدا دشتِ وفا میں افضل
اسی مٹّی میں نہاں درد گوہر دیکھا

عشق سے پہلے عشق کا مطلب کب کھلتا ہے


اس نے خط میں
عشق کا مطلب پوچھ لیا ہے
میں نے لکھا ہے
جب کوئی چہرہ
دھیان میں آ کر
من آنگن میں پھول کھلائے
جب کوئی نام لبوں کو چھو کر
دھڑکنوں کی ترتیب بھلا دے
جب کوئی جذبہ کارِ جنوں سے
آتش کو گلزار بنا دے
لیکن اتنا دھیان میں رکھنا
کوئی صراطِ عشق سے گزرے تب کھلتا ہے
عشق سے پہلے عشق کا مطلب کب کھلتا ہے

ik shakhs ko sochti rahi mein



ik shakhs ko sochti rahi mein
phir aaina dekhnay lagi mein 


us ki terha apna naam lay kar
khud ko bhi lagi naee naee mein 

tu meray bina na reh saka
kab teray baghair gee saki mein 

aati rahay ab kahin say aawaz
ab to teray pass aa gaee mein 

daaman tha tera keh mera maatha
jo daagh bhi thay mita chuki mein 

Ik Din Aisa Ho Ga

meri hatheli say phoot'ti roshani
meray muqaddar ki sayaah raaton ko
ik aisa sitara bakhshay gi
jis ki chamak
teri aankhon ko chundhaya day gi
raaton ko phir tu so na sakay ga
haath rakh kay aankhon par
kabhi ro na sakay ga

milay hain dukh jo tumhari chaah men likhoon mein un ka hisaab kesay

kiay hain tum nay sawaal jitnay likhoon mein un ka hisaab kesay
milay hain dukh jo tumhari chaah men likhoon mein un ka hisaab kesay


bina tumharay jo aik pal ko sadiyan kar kay guzara hum nay
kitni sadiyan guzar gaee hain likhoon mein un ka hisaab kesay


yeh pur'khatar hain wafa ki raahen qadam qadam par khaar jaanan!
milay hain jo in say gehray ghaao likhoon mein un ko gulab kesay


tujh ko paanay ki justaju men hum apnay rab ko bhi bhool bethay
woh jitnay sajday qaza huay hain likhoon mein un ka hisaab kesay


tamam harfon say keh do anjum kitab e ulfat abhi na kholain
jo log andhay hain is shehar kay parhain gay dil ki kitab kesay



yeh jurm hai to phir is jurm ki saza rakhna


Nahi keh milnay milanay ka silsila rakhna 
Kisi bhi sat'ha pay koi to rabta rakhna 

marain gay log hamaray siwa bhi tum pay bohat
yeh jurm hai to phir is jurm ki saza rakhna

Madad ki tum se tawaqqo to khair kya hogi 
Gharib e shehar e sitam hoon mera pata rakhna 

bas aik shaam hamen chaahiay,na poochna kyun?
yeh baat kisi aur shaam pay utha rakhna

Naye safar pay rawana hua hoon az sar e nau 
Jab aaun ga to mera nam bhi naya rakhna 

Faseel e shoq uthana, Zafar zaroor magar
Kisi taraf say nikalnay ka raasta rakhna

azaab-e-deed maiN ankhaiN lahoO lahoO kaR k

azaab-e-deed maiN ankhaiN lahoO lahoO kaR k
maiN shaRam saar huwa teRi justaju kaR k 


suNa hai shehaR maiN zakhmi diloN ka maila hai
chalaiN gaiN hum bhi magaR pairhaN rafoO kaR k 


musaaft-e-shab-e-hijraaN k baad bhaid khula?
hawa dukhi hai chiraaghoN ki aabroO kaR k 


zameeN ki payas usi k lahOo ko chaat gaee
wo khush huwa tha samandaaR ko aabjoO kaR k 


yeh kis ne hum se lahOo ka kharaaj phiR manga?
abhi tu soo’eY thaY maqtal ko surkharoO kaR k 


ujaaR ruut ko gulabi banaieY rakhti hai
hamaRi ankH teRi deed se wazOo kaR k 


koi tu habs-e-hawa se yeh pochta “mohsiN”
mila hai kia usay kaliyOn ko be-namOo kaR k

Thursday, 27 October 2011

Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam

Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
keh badla hee nahi janaan, tumharay baad ka mousam

Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e nashaad ka mousam

Sadaa taishay say jo nikli, dil-e Shireen say uthi thi
chaman Khusru ka tha laikin raha Ferhaad ka mousam

Parindon ki zubaan badli kahin say dhuund lay tu bhi
naee tarz-e fighan ay dil keh hai ijad ka mousam

Ruton ka qaayida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam

Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay saath badlay ga dil-e berbaad ka mousam

Qafas kay baam-o dar main roshni si aayi jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e azaad ka mousam

Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

Gum Sum Ankhen Sooni Saansen,Toot,ti Jurrti Umeedain…



Gum Sum Ankhen Sooni Saansen,Toot,ti Jurrti Umeedain…
Darti hun yun kesey katay gi, Umer hai! koi raat nhi…

Tere dar pe aa k bethay hain


Koi ghazal suna ker kya kerna,
Yoon baat barrha ker kya kerna..?

... Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata ker kya kerna..?
...
Tum ehad nibhao chaahat say,
Koi rasm nibha ker kya kerna..?

Tum khafa bhi achay lagtay ho,
Phir tum ko mana ker kya kerna..?

Tere dar pe aa k bethay hain,
Ab ghar bhi ja ker kya kerna..?

Din yaad se acha guzray ga,
Phir tum ko bhula ker kya kerna....

ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai


silsila jurrat e izhaar tak, aa pohncha hai
ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai

sham ab iskay siwa aur bhala kya ho gi
ab to saya meri deevar tak aa pohncha hai

usko taabeer Khuda janay milay gi k nahee'n
khaab to deeda e baidaar tak aa pohncha hai

aur barh jayegi arzaani e baazar keh abb
biknay wala hii kharidar tak aa pohncha hai

tu bata day keh ab tera irada kaya hai?
ishq mera teray maiyyaar tak aa pohncha hai

ab beher taur koi faisla karna ho ga
mass'ala abb meray pindar tak aa pohncha hai

sar jhukana teri aadat bhi nahee'n hai AKHTAR
aur hath uska bhi talwaar tak aa pohncha hai

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrnay ka tu malaal kar


Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrnay ka tu malaal kar,
Tujhay day gi jeene ka hosla, meri yaad rakh lay sambhaal kar,




Yeh bhi kaya keh ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna,
Jo na bujh sakay wo diya jala, jo na ho sakay wo kamaal kar,




Gham-e-aarzu meri justju, mein simatt kay aa gaya ru-baru,
Yeh sukoot-e-marg hai kis liye? mein jawab doon tu sawaal kar,




Tu bichhar raha hai to soch lay, teray haath hai meri zindgi,
Tujhay rokna meri moat hai, meri be`basi ka khayal kar,


Meray dard ka, meray zabt ka, meri be-basi, meray sabr ka,
Jo yakeen na aaye to dekh lay, tu hawa mein phool uchaal kr..!!

Dekh kitna sanwar gaya hun main


Ab to Aa ja Guzar gaya hun main !
Log kehtay hain mar gaya hun main !

Tum se Milta tha Sirf Ujra hua !
Dekh kitna sanwar gaya hun main !

Khaar Chuntay umar Tamaam hui !
Aaj pholon se bhar gaya hun main !

Tu to aa k Wada wafa kar ja !
Apne wade se phir gya hun main !

Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti!
Qaid shairon mein Kar gaya hun main !

Muthiyaan khaak se bharay Dunia !
Lehad mein utar gaya hun main !

So Jaaun To Khwabon Mein Bhi Aata Hai Wohi Shakhs


So Jaaun To Khwabon Mein Bhi Aata Hai Wohi Shakhs, 
Jagoon To Mujhay Bohat Sataata Hai Wohi Shakhs 

Jis Zakhm Ka Khaliq Bhi Koi Aur Nahin Hai, 
Us Zakhm Pay Marham Bhi Lagaata Hai Wohi Shakhs. 

Haathon Ki Lakeeron Mein Bhi Talaashay Wo Mujhko, 
Hathon Ki Lakeeren Bhi Mitaata Hai Wohi Shakhs. 

Rakhta Hai Mujhay Qaid Bhi Ek Band Gali Mein, 
Rastay Bhi Naye Mujhko Sujhaata Hai Wohi Shakhs. 

Har Lamha Yeh Koshish Mein Usey Bhool Hi Jaaun, 
Pehlay Say Zayada yaad Bhi Aata Hai Wohi Shakhs. 

Hum Jin Say Talab Roshniyan Kartay Rahay Hain, 
Aata Hai Tho Shammaen Bhi Bujhata Hai Wohi Shakhs. 

Jo Aaeena Mein Apnay Liye Dhoondh Kay Laaya, 
Uss Mein Bhi Hamesha Nazar Aata Hai Wohi Shakhs. 

Uss Shakhs Ki Khaatir Hoon Mein Duniya Say Juda Bhi, 
Lekin Mera Duniya Say Bhi Naata Hai Wohi Shakhs. 

Khafa Ho Kar Bhi Hum Hi Ko Chaahta Hai Wohi shakhs, 
Chhoti Si Baaton Par Aksar Rooth Jaata Hai Wohi Shakhs. 

Aansoon Ki Qeemat Pehchaanta Hai Wo apni, 
Phir Kyun Aksar Aansoo Bahata Hai Wohi shakhs. 

Suna hai woh shehar may aaya hai


Suna hai woh shehar may aaya hai
Suna hai woh saath wafa laaya hai
Suna hai woh phool sung apnay chund murjhaaye laaya hai
Suna hai woh askh bhari muskrahtain bhi laaya hai
Uss say kaho
Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi sogwar nahi
Uss say kaho
Loat jaaye
Keh 
Yeh shehar-e-khamoshan hai
Yahan sub baasi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotay hain
Teray chahnay waley
Ab nahi rotey hain
Ab nahi rotey hain

tujhay dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha


tujhay dhoondti rahi chashm-e tar, tera naam wird-e zubaan raha
na haram ka mujh ko khayal tha na sanam kaday ka gumaan raha

teri chashm-e naaz ka maikadah mujhay be-nayaz sa kar gya
na sha'oor-e kon-o makaan raha na khayal-e sood-o zayan raha

karray waqt mein jo main ghir gaya teri yaad hi bani mojza
shab-hijr mein bhi ay jaan-e jan teri qurbaton ka samaa raha

mujhay zindagi say bhi pyar tha mujhe ishq say bhi theen aqeedatein
go bohat katthin thay yeh raastay tera saath tha main rawaan raha

Wednesday, 26 October 2011

aik ik kar kay har ik zakhm duhai day ga



aik ik kar kay har ik zakhm duhai day ga
yeh safar kuch na siwa aabla paai day ga


ik zara aur bulandi pay charho,phir dekho
raat ko shehar bhi aakash dikhai day ga


bajtay bajtay sabhi ik lamhay men tham jaayen gay saaz
phir kuch bhi kisi ko na sunai day ga


pyar kay phool men her din nay bhara ik naya rang
agla din ab isay ik rang e judai day ga


aakhrish taey kiya na'karda ko bhi karay qabool
yun kahaan tak woh bhala roz safai day ga


woh kaee noori bars door tha,yeh kahaan thi khabar
meray kaandhon pay rakhay haath dikhai day ga

andheri raat thikanay laga kay aatay hain



andheri raat thikanay laga kay aatay hain
chalo keh apni subha ko jaga kay aatay hain

sabhi jo maan rahay hain,bohat andhera hai

chiragh jorr kay suraj banaa kay aatay hain

hajoom e shehar pay sakta keh pehal kon karay

saleeb e shehar ko aao saja kay aatay hain

yeh raat roz jo hum say kharaaj maangay hai

hazaar sir ka charhawa,charha kay aatay hain


nhi hai kuch bhi bacha ab,b'juz yeh zanjeerain
utho yeh maal o mat'aa bhi,luta kay aatay hain

aasman kay rangon men rang hai shahaabi sa




aasman kay rangon men rang hai shahaabi sa
dhayaan men hai chehra aik mahtaabi sa


manzaron nay kirnon ka perhan jo pehna hai
mein nay is ka rakha hai naam aaftabi sa


tum ajeeb qatil ho,rooh qatl kartay ho
daaghtay ho phir maatha chaand ki rakaabi sa


kon keh gaya hai moat tootnay say aati hai
gul nay to bikhar kay baagh kar diya gulabi sa


phir hawa chali shayad bhoolay bisray khavabon ki
dil men uth raha hai kuch shoq iztarabi sa


talkhiyon nay phir shayad ik sawal dohraya
ghul raha hai honton men zaaiqa jawabi sa


harf pyar kay saray aa gaey thay aankhon men
jab liya tha haathon men chehra woh kitabi sa


boond boond hoti hai rang o noor ki barkha
jab bhi mosam aaya hai nainaan men sharabi sa

sheh muqaddar men sheh ko maat kahan




sheh muqaddar men sheh ko maat kahan
woh kahaan,apni yeh bisaat kahaan




chaandni qatra qatra pee daalo
aaj kay baad aisi raat kahaan




ab kisi raah men chiraagh nhi
ab meray haath us kay haath kahaan




sang bun kar kahin thehar jaaey
dil ki chup men kuch aisi baat kahaan




raat bhar shama lay kay haathon men
aisay phirti hain rahbaat kahaan




aa kay is dil men kuch thehar jaaey
yun bhatakti phiray gi raat kahaan




sirf maidaan e karbala hai ubaid
ab woh dajla kahaan faraat kahaan

سنو اچھا نہیں لگتا




سنو اچھا نہیں لگتا 
مجھے اچھا نہیں لگتا 


کرے جب تذکرہ کوئی ۔۔۔ کرے جب تبصرہ کوئی 
تمہاری ذات کو کھوجے۔۔۔۔ تمہاری بات کو سوچے 


مجھے اچھا نہیں لگتا 


کہ کوئی دوسرا دیکھے ۔۔۔۔۔ تمہاری شربتی آنکھیں 
لب ورخسار اور پلکیں۔۔۔۔۔۔ سیاہ لمبی گھنی زلفیں 


مجھے اچھا نہیں لگتا 


تمہاری مسکراہٹ پر ۔۔۔ ہزاروں لوگ مرتے ہیں 
تمہاری ایک آہٹ پر ۔۔۔۔ہزاروں دل دھڑکتے ہیں 


کسی کا تم پہ یوں مرنا 
مجھے اچھا نہیں لگتا 


ہوا گزرے تمہیں چھو کر۔۔۔۔ نہ ہوگا ضبط یہ مجھ سے 
کرے گستاخی کوئی تم سے۔۔۔۔ تمہاری زلفیں بکھر جائیں 


مجھے اچھا نہیں لگتا۔۔ 
اے سنو !!! 
مجھے اچھا نہیں لگتا

"woh kesa hai"



usay kehna agar milna aasan nhi to likh bhejay "woh kesa hai"


bohat dinon say yeh dil udaas rehta hai


tabeeat bhi machalti hai

kabhi thokar jo lagti hai

dhayaan mera najanay kyun

usi ki simt jata hai

usay koi pathar koi kaanta laga na ho

khudaya wos salamat ho

usay kehna agar milna aasan nhi to likh bhejay "woh kesa hai"