Saturday, 17 September 2011

Sulag rahi hain na janay, kis aanch say aankhein


Na intazaar ki lazzat, na aarzu ki thakan
Bujhi hain dard ki shamein, keh so gya hay badan
Sulag rahi hain na janay, kis aanch say aankhein
Na aansooan ki talab hay, na rat jago’N ki thakan
Dil-e-freb zada, dawat-e-nazar pay na ja
Yeh aj kay qad-o-gaisoo hain, kal kay daar-o-rasan
Bahar-e-qurb say pehly, ujaarh deti hain
Judaiyon kee hawain, mahabbato’N kay chaman
Phir aaj shab teray qadmo’N kee chaap kay humraah
Sunai dee hay dil-e-na muraad kee dharkan
Yeh zulm dekh keh tu jaan-e-shairi hay magar
Meri ghazal mein tera naam bhi hay jurm-e-sukhan
Ameer-e-shehar, ghareebo’N ko loot leta hay
Kabhi ba heela-e-mazhab, kabhi ba naam-e-watan
Hawa-e-dehar se dil ka chiragh kya bujhta
Magar FARAZ salamat hy, yaar ka daaman

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets