gham-e-hasti nay sada di mujhay pehchan liya
gardish e dehar nay phir mera pata jaan liya
na mila kuch bhi yahan hum ko saraabon k siwa
hum nay qadmon sey her ek dasht e wafa chhaan liya
pehlay hum tark-e-muhabat pey thay tayaar mager
janay kaya soch k phir dil ka kaha maan liya
aisay jeenay sey to behtar tha keh mar hi jatay
charagar muft men hum nay tera ehssan liya
aap kyun apnay kahay per hain musir banda nawaz
aap nay jo bhi kaha hum nay usay maan liya
un ki her ek nazar aaina saama nikli
laakh pardon men bhi gullnar ko pehchan liya..!!

No comments:
Post a Comment