Friday, 25 November 2011

usay ganwa kar phir usay paanay ka shoq kesa?





yeh khauf dil men nigah men iztiraab kyun hai?
taloo e mehshar say paishtar yeh azaab kyun hai

kabhi to badlay yeh maatmi rut udaasiyon ki
meri nigahon men aik sa shehar e khawab kyun hai

kabhi kabhi teri bayniyazi say khauf kha kar
mein sochta hoon tu mera intekhaab kyun hai?

falak pay bikhri siyahiyaan ab bhi sochti hain
zameen kay sar pay chaadar e aaftab kyun hai?

taras gaey hain meray aainay us kay khaal o khad ko
woh aadmi hai to is qadar lajawaab kyun hai?

usay ganwa kar phir usay paanay ka shoq kesa?
gunaah kar kay bhi intezar e sawaab kyun hai?

teray liay uski rehmat baykinaar kesi?
meray liay uski ranjish bayhisaab kyun hai?

usay to mohsin balaa ki nafrat thi shaayaron say
phir us kay haathon men shayari ki kitaab kyun hai?


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets