Na tera qurb hai na baada hai kaya kiya jaaye
Phir aaj dukh bhi zayada hai kaya kiya jaaye
Hamain bhi gharz e tamana ka dhab nahi ata
Mizaj e yaar bhi sada hai kaya kiya jaaye
Kuch apnay dost bhi turkash badosh phirtay hain
Kuch apna dil bhi kushada hai kaya kiya jaaye
Wo mehrbaan hai magar dil ka hirs bhi kam ho
Talab karam sey zayada hai kaya kiya jaaye
Na us sey tarq e taluq ki baat ker paaye
Na hamdami ka irada hai kaya kiya jaaye
Salooq e yaar sey dil doobnay laga hai Faraz
Magar yeh mahfil e ada'a hai kaya kiya jaaye
No comments:
Post a Comment