wo chahta tha phir bhi koi guftagu na ki
main nay bhi poochnay ki justaju na ki
main nay bhi poochnay ki justaju na ki
tasveer teri dekh kar aankhain chhalak parrein
hum nay teri ibadat kabhi be-wazu na ki
baithay rahay chup chap hum parda nasheen k pass
MUSA ki tarha dekhnay ki aarzoo na ki
wo hai nasha-e-ishq ki lazzat say be-khabar
jis nay yeh zindagi kabhi nazr-e-subha na ki
karta raha bayaan woh ghairon k saamnay
us nay kabhi shikayat meray roo-ba-roo na ki
kyun dil men chhupaye rakhay hain hum nay raaz-e-ishq
ehl-e-janoon ki baat kabhi ku-ba-ku na ki
milta nahi hai us ko shahadat ka martaba
raah-e-KHUDA mein jis nay yeh gardan lahoo na ki,,,
No comments:
Post a Comment