Manzil meray qadmoN sey abhi door buhat hai
Qissa meri nakami ka mash-hoor buhat hai
Vo mausam-e-gul ho keh khezaaN, aap kay dam sey
Yeh sehn-e-chaman husn sey maamoor bahut hai
Qudrat ki hemayat nahiN haasil to yeh insaN
HoN laakh wasayel bhi to majboor buhat hai
Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
Ghurbat ko saza denay ka dastoor buhat hai
KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
Kirdaar ki khaami sey vo raNjoor buhat hai
MaiN dast-e-sawaal apna baRhata nahiN aagey
Aur log samajhtey haiN keh maGhroor buhat hai
Allah ney jo kuchh bhi diya khoob hai maikash
Dil uski enayaat sey masroor buhat hai
No comments:
Post a Comment