Dost Ban Kar Bhii Nahiin Saath Nibhaney Wala
Vahee Andaaz Hay Zaalim Kaa Zamaaney waalaa
Ab usay Log Samajhatey Hain Giraftaar Meraa
Sakht Nadiim Hay Mujhay Daam Main Laaney vaalaa
Kia Kahain Kitaney Maraasim They Hamaarey us Sey
Wo Jo Ik Shakhs Hay Munh Pher K Jaanay waalaa
Terey Hotey Huay Aa Jaatii Thee Saari Duniya
Aaj Tanhaa Hoon To Koi Naheen Aany waala
Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dahalez Pey Main
Kaun Aayega Yahaan Kaun Hay Aany waala
Main Ne Dekhaa Hay Bahaaron Main Chaman Ko Jalatey
Hay Koi Khvaab Ki Taabeer Bataany waala
Kyaa Khabar Thee Jo Meri Jaan Main Ghulaa Hay Itanaa
Hai wahee Mujh Ko Sar-E-Daar Bhee Laanay Wala
Tum Takalluf Ko Bhii Ikhlaas Samajhtay Ho ‘Faraz’
Dost Hotaa Nahiin Har Haath Milaaney waalaa
No comments:
Post a Comment