Tuesday, 1 November 2011

Rehna saf-e-udoo maiN mujhay yuN bhi raas tha




Rehna saf-e-udoo maiN mujhay yuN bhi raas tha
her shakhs hi wahan peh tabiyat-shanaas tha

khud say milla tu pooch hi looN ga maiN aik din
bursoN say kon tha jo muheet-e-hawaas tha

uljha sa, soochta sa, bikharta sa, zerd zerd
mosam bhi aaj meri terha say udaas tha

apni tamam um’r ki poonji ko jorr ker
laya, to us nay keh diya sasta libaas tha

bikhri huii thin chehray peh sehmi hikayataiN
ab aaina bhi kab mera chehra shanaas tha

aaya jo meray qat’l ko khanjar ba-kuf hujooM
to lab peh uskay mera hi herf-e-sapaas tha

naizoN peh ser-buland huay haq-shanaas jab
qaatiil shikast khordah mehw-e-hiaras tha

Farrukh tamam sheh’r peh khaaboN ka sehar tha
Taabir-e-khwab soch kay bas maiN udaas tha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets