Thursday, 19 January 2012

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataaye gii



Chhupaaye dil men ghamon kaa jahaan baithey hain
tumhaarii bazm men ham be'zubaan baithey hain

yeh aur baat keh manzil pey ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai keh raahon ko chhaan baithey hain

fughaan hai dard hai soz-o-firaaq-o-daagh-e-alam
abhii to ghar men bohat meharabaan baithey hain

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataaye gii
lutaa k ishq men naam-o-nishaan baithey hain

vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
jisey shariat-e-ehasaas maan baithey hain

hai maikadon kii bahaaron sey dostii 'Saghar'
baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baihey hain.


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets