usay yaad rakhna muhaal tha mujhay bhoolnay par malaal tha
meri fikar ko jala mili woh tera hi hushn-e-khyaal tha
kabhi gardish-e-waqt nay aaj tak meray hoslay ko na maat di
jo hawa kay rukh pay tha zofishaa'n woh mera hi husn-e-khyaal tha
ye har ek shaam diya jala kay hawao'n say mera poochna
tum hi kuch batao keh kaya huwa mera aakhri jo sawaal tha
faqt ek zarb-e-khafeef say mera aabgeena bigarr gaya
jo bikhar gaya to pata chala keh simtna kitna muhaal tha
ram-e-aa'hoo jesay gurez'pa ho khud agehi kay saraab mai
wohi hijrato'n ka fareeb tha wohi gham-e-dil ka ghazaal tha
koi kaya bataye keh zeest mai na kashish rahi na maza raha
jo guzar gya woh shabaab tha jo bikhar gaya woh jamaal tha
No comments:
Post a Comment