zara si baat pey har rasm torr aaya tha
dil e tabaah ney bhi kaya mizaaj paya tha
maaf kar na saki meri zindagi mujh ko
woh aik lamha keh main tujh sey tang aaya tha
shagufta phool simat kar kali banay jaisay
kuch is tarah sey tuu ney badan churaya tha
guzar gaya hai koi lamha e sharar ki tarha
abhi to main usay pehchaan bhi na paya tha
pata nahin keh merey baad un pey kaya guzri
main chand khwaab zamanay mein chorr aaya tha
No comments:
Post a Comment